اردو हिंदी
Koi puchhe to na kahna ki abhi zinda hun | Shaahi Shayari
koi puchhe to na kahna ki abhi zinda hun

Ghazal

Koi puchhe to na kahna ki abhi zinda hun

Manzoor Hashmi

;

koi puchhe to na kahna ki abhi zinda hun
waqt ki kokh mein ek lamha-e-ainda hun

zindagi kitni hasin kitni baDi neamat hai
aah main hun ki use pa ke bhi sharminda hun

kya ada hone ko hai sunnat-e-ibrahimi
aag hi aag hai har samt magar zinda hun

zindagi tu jo sunegi to hansi aaegi
main samajhta hun ki main tera numainda hun

tez raftar hawaon ke labon se puchho
harf-e-aKHir hun main ek naghma-e-painda hun

ajnabi jaan ke har shaKHs guzar jata hai
aur sadiyon se isi shahr ka bashinda hun

jaane kin tez ujalon mein nahaya tha kabhi
is qadar saKHt andheron mein bhi tabinda hun