koi moajiza hua hai meri be-KHudi se aage
tera gham nikal gaya hai meri har KHushi se aage
meri pyas ka tarana yun samajh na aa sakega
mujhe aaj sun ke dekho meri KHamoshi se aage
main hun sans sans tanha main hun zarra zarra ghayal
mujhe pas aa ke dekho meri dilkashi se aage
wahin kal bhi phir milenge jahan aaj mil rahe hain
teri raushni ke pichhe meri tirgi se aage
isi Dar se paDh na pai main tera payam jaanan
kahin dil ko chhu na jae meri bebasi se aage
Ghazal
Koi moajiza hua hai meri be-KHudi se aage
Neena Sahar