اردو हिंदी
Koi mehrban nahin sath mein koi hat bhi nahin hat mein | Shaahi Shayari
koi mehrban nahin sath mein koi hat bhi nahin hat mein

Ghazal

Koi mehrban nahin sath mein koi hat bhi nahin hat mein

Mohammad Ahmad

;

koi mehrban nahin sath mein koi hat bhi nahin hat mein
hain udasiyan meri muntazir sabhi raston mein jihat mein

hai KHabar mujhe ki ye tum nahin kasi ajnabi ko bhi kya paDi
sabhi aashna bhi hain ru-ba-ru to ye kaun hai meri ghat mein

ye udasiyon ka jo rang hai koi ho na ho mere sang hai
mere sher mein meri baat mein meri aadaton mein sifat mein

karen e'tibar kisi pe kya ki ye shahr shahr-e-nifaq hai
jahan muskuraate hain lab kahin wahin tanz hai kisi baat mein

chalo ye bhi mana ai ham-nawa ki taghayyuraat ke ma-siwa
nahin mustaqil koi shai yahan to ye hijr kyun hai sabaat mein

meri dastaras mein bhi kuchh nahin, nahin tere bas mein bhi kuchh nahin
main asir-e-kakul-e-ishq hun mujhe kya milega najat mein