koi mahram nahin milta jahan mein
mujhe kahna hai kuchh apni zaban mein
qafas mein ji nahin lagta kisi tarah
laga do aag koi aashiyan mein
koi din bul-hawas bhi shad ho len
dhara kya hai ishaaraat-e-nihan mein
kahin anjam aa pahuncha wafa ka
ghula jata hun ab ke imtihan mein
naya hai lijiye jab nam us ka
bahut wusat hai meri dastan mein
dil-e-pur-dard se kuchh kaam lunga
agar fursat mili mujh ko jahan mein
bahut ji KHush hua 'haali' se mil kar
abhi kuchh log baqi hain jahan mein
Ghazal
Koi mahram nahin milta jahan mein
Altaf Hussain Hali