koi lahja koi jumla koi chehra nikal aaya
purane taq ke saman se kya kya nikal aaya
ba-zahir ajnabi basti se jab kuchh der baaten kin
yahan ki ek ek shai se mera rishta nikal aaya
mere aansu hue the jazb jis miTTi mein ab us par
kahin pauda kahin sabza kahin chashma nikal aaya
KHuda ne ek hi miTTi se gundha sab ko ek jaisa
magar hum mein koi adna koi aala nikal aaya
sabhi se fasla rakhne ki aadat thi so ab bhi hai
paraya kaun tha jo shahr mein apna nikal aaya
nae mahaul ne pahchan hi mashkuk kar Dali
jo be-chehra the kal tak un ke bhi chehra nikal aaya
Ghazal
Koi lahja koi jumla koi chehra nikal aaya
Shahid Latif