koi kis tarah tum se sar-bar ho
saKHt be-rahm ho sitamgar ho
uTh gaya hum se go mukaddar ho
KHush rahe wo jahan ho jidhar ho
tewri chaDh rahi hai ye bhaun par
kya hai kyun kis liye mukaddar ho
kya shitabi hi aise jaega
KHushk to ho araq abhi tar ho
jaan khai hai naseho ne meri
samne in ke to Tuk aa kar ho
lije hazir hai chiz kya hai dil
ghussa is waste jo mujh par ho
yaad mein us ki ghar se nikla hun
saKHt be-iKHtiyar-o-muztar ho
us se 'bedar' baat to malum
dekhna bhi kahin mayassar ho
Ghazal
Koi kis tarah tum se sar-bar ho
Meer Mohammadi Bedar