koi khiDki jo khuli rahti hai
samne shakl wahi rahti hai
mere honTon pe hansi rahti hai
aag phulon mein dabi rahti hai
jaise har chiz pighal jaegi
dhup yun sar pe khaDi rahti hai
ab to KHwabon ke bhi aaine mein
waqt ki dhul jami rahti hai
meri tanhai ke darwaze par
jaane kyun bhiD lagi rahti hai
kitni qatil hai ye duniya lekin
kitni masum bani rahti hai
tez-rau waqt se aage 'saqib'
meri shorida-sari rahti hai

Ghazal
Koi khiDki jo khuli rahti hai
Meer Naqi Ali Khan Saqib