koi hunar to meri chashm-e-ashk-bar mein hai
ki aaj bhi wo kisi KHwab ke KHumar mein hai
kisi bahaar ka manzar hai chashm-e-viran mein
kisi gulab ki KHushbu dil-e-figar mein hai
ajab taqaza hai mujh se juda na hone ka
ki jaise kaun-o-makan mere iKHtiyar mein hai
nishan-e-rah bhi Thahrega barishon ke baad
abhi ye naqsh kisi rah ke ghubar mein hai
ufuq ke aks kisi aaine mein kya simTin
ki shauq-e-jalwa abhi apne intishaar mein hai
makan ki koi KHabar la-makan ko kaise ho
safir-e-ruh abhi jism ke hisar mein hai
kamal-e-zabt ki saat kahin guzar bhi ja
sitara-e-shab-e-gham mere intizar mein hai
Ghazal
Koi hunar to meri chashm-e-ashk-bar mein hai
Akram Mahmud