اردو हिंदी
Koi hangama sar-e-bazm uThaya jae | Shaahi Shayari
koi hangama sar-e-bazm uThaya jae

Ghazal

Koi hangama sar-e-bazm uThaya jae

Zehra Nigaah

;

koi hangama sar-e-bazm uThaya jae
kuchh kiya jae charaghon ko bujhaya jae

bhulna KHud ko to aasan hai bhula baiTha hun
wo sitamgar jo na bhule se bhulaya jae

jis ke bais hain ye chehre ki lakiren maghmum
ghair-mumkin hai ki manzar wo dikhaya jae

sham KHamosh hai aur chand nikal aaya hai
kyun na ek naqsh hi pani pe banaya jae

zaKHm hanste hain to ye fasl-e-bahaar aati hai
han isi baat pe phir zaKHm lagaya jae