koi hairan hai yan koi dil-gir
kahe tu hai ye aalam bazm-e-taswir
jale tak ka main apne qadr-dan hun
ye chuTki rakh hai ik-turfa iksir
nigah-e-ijz kuchh kuchh kargar thi
so ab jati rahi us ki bhi tasir
wo din kya ba-halawat the ki ahbab
muafiq the baham jun shakkar-o-shir
karun kyunkar na main 'rasiKH' mabahat
ki hain ustad mere hazrat-e-'mir'
Ghazal
Koi hairan hai yan koi dil-gir
Rasikh Azimabadi