koi hai jo gham nahin jhelta kise har nafas mein sukun hai
tere chaara-gar ko KHabar nahin tere apne bas mein sukun hai
kisi maslahat ke ghubar mein kahan rasta nazar aaega
use ja ke dekhiye dosto jise pesh-o-pas mein sukun hai
mere raste baDe narm-KHu wo shumal ho ki junub ho
mere qulzum-e-gham-e-jawedan tere nile ras mein sukun hai
use be-numu kisi KHwab ne kahin gahri nind sula diya
use bha gai hain kahawaten use bhi qafas mein sukun hai
kabhi hadson se Dara nahin kabhi faislon se phira nahin
meri be-yaqiniyan be-KHabar meri dastaras mein sukun hai

Ghazal
Koi hai jo gham nahin jhelta kise har nafas mein sukun hai
Najmus Saqib