koi diwar na dar jaante hain
hum isi dasht ko ghar jaante hain
jaan kar chup hain wagarna hum bhi
baat karne ka hunar jaante hain
ye muhim hadiya-e-sar mangti hai
is mein hai jaan ka KHatar jaante hain
lad gai shaKH-e-lahu phulon se
aaenge ab ke samar jaante hain
jaan jaani hai to jaegi zarur
hum duaon ka asar jaante hain
kaun hai taba-e-mohmal kis ka
kis ka hai kis pe asar jaante hain
log use maslahatan kuchh na kahen
us ki auqat magar jaante hain
raat kis kis ke uDe hain purze
shahr mein kya hai KHabar jaante hain
raat kaTe nahin kaTti hai magar
raat hai ta-ba-sahar jaante hain
hum ne bhi dekhi hai duniya 'mohsin'
hai kidhar kis ki nazar jaante hain
Ghazal
Koi diwar na dar jaante hain
Mohsin Zaidi