koi dariya bhi rawan hai mujh mein 
sirf sahra hi kahan hai mujh mein 
kya pata jaane kahan aag lagi 
har taraf sirf dhuan hai mujh mein 
jashn hota hai wahan raat Dhale 
wo jo ek KHali makan hai mujh mein 
ajnabi ho gain galiyan meri 
jaane ab kaun kahan hai mujh mein 
ek din tha jo kahin Dub gaya 
ek shab hai ki jawan hai mujh mein 
tum jise DhunD rahe ho 'athar' 
ab wo insan kahan hai mujh mein
        Ghazal
Koi dariya bhi rawan hai mujh mein
Mirza Athar Zia

