koft se jaan lab pe aai hai
hum ne kya choT dil pe khai hai
likhte ruqa likhe gae daftar
shauq ne baat kya baDhai hai
aarzu us buland o baala ki
kya bala mere sar pe lai hai
didani hai shikastagi dil ki
kya imarat ghamon ne Dhai hai
hai tasanno ki lal hain we lab
yani ek baat si banai hai
dil se nazdik aur itna dur
kis se us ko kuchh aashnai hai
be-sutun kya hai kohkan kaisa
ishq ki zor aazmai hai
jis maraz mein ki jaan jati hai
dilbaron hi ki wo judai hai
yan hue KHak se barabar hum
wan wahi naz o KHud-numai hai
aisa mauta hai zinda-e-jawed
rafta-e-yar tha jab aai hai
marg-e-majnun se aql gum hai 'mir'
kya diwane ne maut pai hai
Ghazal
Koft se jaan lab pe aai hai
Mir Taqi Mir