اردو हिंदी
Kitni riton mein dil uljha rah gaya | Shaahi Shayari
kitni riton mein dil uljha rah gaya

Ghazal

Kitni riton mein dil uljha rah gaya

Mahshar Badayuni

;

kitni riton mein dil uljha rah gaya
baDh gae hum aur zamana rah gaya

KHatm kitna kar-e-duniya kar chale
aur kitna kar-e-duniya rah gaya

jal bujhe ghar aur fasil-e-shahr par
raushni ka shahr likkha rah gaya

main akela tha sada sun kar tum aae
dosto main phir akela rah gaya

chehra-posh ojhal hue bhaDka ke aag
aane wala ghar ko aata rah gaya

hausla rakkho safar ka ham-raho
mat ye socho kya luTa kya rah gaya

mil gae arman miTTi mein tamam
kuza-gar kuze banata rah gaya