اردو हिंदी
Kitni mushkil se bahla tha ye kya kar gai sham | Shaahi Shayari
kitni mushkil se bahla tha ye kya kar gai sham

Ghazal

Kitni mushkil se bahla tha ye kya kar gai sham

Hasan Kamal

;

kitni mushkil se bahla tha ye kya kar gai sham
hanste gate dil ko pal mein tanha kar gai sham

dur ufuq par kis ki aankhen ro ro ho gain lal
ret kinare kis ka aanchal gila kar gai sham

aata, chahe koi na aata aas to thi din bhar
ab kya rasta dekhen rasta dhundla kar gai sham

mere bichhDe dost se kitni milti-julti hai
aai aur aa kar aankhon ko dariya kar gai sham

dur pahaDi ki choTi par roti rah gai dhup
raat andhere se duniya ka sauda kar gai sham

panchhi lauTe mahi lauTe to bhi lauT 'hasan'
dharti ambar ka manzar suna kar gai sham