اردو हिंदी
Kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab | Shaahi Shayari
kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab

Ghazal

Kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab

Yusuf Azmi

;

kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab
satron ke bich dekhiye phaila hua azab

chiKHon ka karb naghmon ke shoale waraq waraq
ehsas ban raha hai jawan dard ki kitab

mizan-e-dil mein tauliye phulon se har umid
lamhon mein ghul raha hai tamannaon ka shabab

chehron pe aaj kitne naqabon ka bojh hai
zaKHmi hai aainon ke samundar mein har hijab

ye zindagi hai sayon ka bikhra hua kafan
dasht-e-safar hai KHwab ka phaila hua sarab