اردو हिंदी
Kitne sawal sab ki nigahon mein rakh diye | Shaahi Shayari
kitne sawal sab ki nigahon mein rakh diye

Ghazal

Kitne sawal sab ki nigahon mein rakh diye

Aqeel Danish

;

kitne sawal sab ki nigahon mein rakh diye
ghar ke sabhi charagh hawaon mein rakh diye

ye inqalab-e-gardish-e-dauran to dekhiye
ajsam kaise kaisi qabaon mein rakh diye

mahfil mein sher hi nahin kuchh raushni ba-dosh
anwar hum ne dil ki fazaon mein rakh diye

har shaKHs chahta hai ki hon us pe aashkar
asrar tu ne kaise gunahon mein rakh diye

fitrat ka ye sitam bhi hai 'danish' ajib chiz
sar kaise kaise kaisi kulahon mein rakh diye