kitna jaan-soz hai manzar meri tanhai ka
hausla mujh mein nahin anjuman-arai ka
main ne samjha tha jise bais-e-taskin-e-nazar
us ne saman kiya hai meri ruswai ka
meri baaton mein naya rang kahan se aae
mere dil mein bhi hai ek zaKHm shanasai ka
baat to jab hai ki jazbon se sadaqat phuTe
yun to dawa hai har ek shaKHs ko sachchai ka
ruh mein jazba-e-ulfat ko fuzun pata hun
jab KHayal aata hai mujh ko teri ranai ka
ai 'KHayal' aatish-e-ehsas bhaDak jaegi
aap dawa na karen dhup mein danai ka

Ghazal
Kitna jaan-soz hai manzar meri tanhai ka
Rafique Khayal