kitna dilkash fareb-e-hasti hai
zindagi maut ko tarasti hai
ye nasheb-o-faraaz hasti hai
har bulandi ko ek pasti hai
dekh kar kya karoge dil ki taraf
ek ujDi hui si basti hai
maut aa kar jise uThaegi
zindagi wo hijab-e-hasti hai
jaan de kar mile jo us ki raza
phir bhi mahngi nahin hai sasti hai
ruKH ghaTa ka hai su-e-mai-KHana
dekhiye ab kahan barasti hai
us ke naghmon se mast hai duniya
kitna pur-kaif saz-e-hasti hai
hai ye sauda yaqin ka 'shankar'
but-parasti bhi haq-parasti hai

Ghazal
Kitna dilkash fareb-e-hasti hai
Shankar Lal Shankar