kitabon ne go istiaron mein hum ko batae bahut se Thikane tumhaare
magar kuchh wazahat se apna pata do samajhte nahin hum ye mubham ishaare
har ek phul gulshan mein ye kah raha hai har ek jam-e-mai se ye hum sun rahe hain
zamane ki nazron mein ghar hai usi ka jo hans hans ke din zindagi ke guzare
na ahl-e-haram ne madad ki hamari na ahl-e-kalisa ne gham-KHwariyan kin
agar tu bhi tarz-e-taghaful na chhoDe kahan jaen phir hum musibat ke mare
qadamat-pasandon pe kyun hans rahe ho KHuda ki qadamat-pasandi to dekho
hazaron nahin balki lakhon baras se wahi kahkashan hai wahi chand tare
mere ashk-e-KHunin ki gul-kariyon se zamane ko rangin qabaen mili hain
junun-e-mohabbat ka ye faiz samjhun bayaban mein bhi hain chaman ke nazare
na gham mujh ko girdab-e-ranj-o-bala ka na muhtaj hun main kisi naKHuda ka
safine ko maujon ki zad se bacha kar chala ja raha hun kinare kinare
teri KHashmagin aankh ki gardishon ne zamane ko zer-o-zabar kar diya hai
sahaaron pe koi bharosa kare kya sahaare to KHud DhunDte hain sahaare
usi ru-e-raushan ko hum chahte hain umidon ko tarik jis ne kiya hai
usi mah-e-taban ko hum DhunDte hain dikhae hain din ko hamein jis ne tare
tere shauq mein jo chala ja raha hai jo raste ki mushkil se ghabra raha hai
kabhi apni manzil pe ja hi rahega magar shart ye hai ki himmat na haare
suna hai ki shaer ho ai 'josh' tum bhi nazar bagh-e-jannat pe kyun hai tumhaari
musaddas mein haali to ye kah gae hain jahannam ko bhar denge shaer hamare
Ghazal
Kitabon ne go istiaron mein hum ko batae bahut se Thikane tumhaare
Josh Malsiani