kitab-e-dil ke waraq jo ulaT ke dekhta hai
wo kaenat ko auron ko haT ke dekhta hai
agar nahin hai bichhaDne ka ranj kuchh bhi use
wo bar bar mujhe kyun palaT ke dekhta hai
nadi baDhi ho ki sukhi har ek surat mein
kinara apne hi pani se haT ke dekhta hai
kisi ko tirgi pagal na kar sake jab tak
kahan charagh ki lau se palaT ke dekhta hai
na ho sakenge kabhi us ke zehn-o-dil raushan
waraq waraq jo kitabon ko raT ke dekhta hai
usi pe khulti hain duniya ki wusaten 'shahid'
jo apni zat mein har pal simaT ke dekhta hai

Ghazal
Kitab-e-dil ke waraq jo ulaT ke dekhta hai
Shahid Jamal