اردو हिंदी
Kisi se KHwab ka charcha na karna | Shaahi Shayari
kisi se KHwab ka charcha na karna

Ghazal

Kisi se KHwab ka charcha na karna

Girija Wiyas

;

kisi se KHwab ka charcha na karna
tamannaon ko be-parda na karna

zamana lakh bahkae magar tum
wafaon ka kabhi sauda na karna

KHataon ki saza aaKHir milegi
rulaega use tauba na karna

bichhaDte waqt aansu rok lena
tum apne aap ko ruswa na karna

tumhein achchhi tarah pahchanti hun
wafa ka mujh se tum wada na karna