kisi se bas ki umid-e-kushud-e-kar nahin
mujhe ajal ke bhi aane ka e'tibar nahin
jawab name ka qasid mazar par laya
ki jaanta tha use tab-e-intizar nahin
ye kah ke uTh gai baalin se meri sham-e-sahar
tamam ho gai shab aur tujhe qarar nahin
jo tu ho pas to hur-o-qusur sab kuchh ho
jo tu nahin to nahin balki zinhaar nahin
KHizan ke aane se pahle hi tha mujhe malum
ki rang-o-bu-e-chaman ka kuchh e'tibar nahin
ghazal kahi hai ki moti piroe hain ai 'nazm'
wo kaun sher hai jo durr-e-shahwar nahin
Ghazal
Kisi se bas ki umid-e-kushud-e-kar nahin
Nazm tabaa-tabaa.ii