kisi pe koi bharosa kare to kaise kare
ki aansuon ke siwa aur koi kya dega
bahut hua to tabassum ke chand phulon ko
nigah-e-shoKH ke hathon se bewafa dega
chale to jate ho ruThe hue magar sun lo
har ek moD pe koi tumhein sada dega
ajib manzil-e-hairat mein hai jahan-e-KHarab
ki jaise hum se diwanon ko bhi saza dega
hamare sher mein pinhan hai raushni gham ki
zara suno to sar-e-sham ye ziya dega
Ghazal
Kisi pe koi bharosa kare to kaise kare
Baqar Mehdi