kisi ne dur se dekha koi qarib aaya
amir shahr mein jab bhi koi gharib aaya
hawa mein zahr ghula paniyon mein aag lagi
tumhaare baad zamana baDa ajib aaya
burida-dast barahna-badan shikasta-pa
tere dayar mein kya kya na bad-nasib aaya
kisi ko ab na sataegi marg-e-na-malum
charagh-e-dar jale mausam-e-salib aaya
baras mahinon mein hafte dinon mein Dhalne lage
jo 'ram' dur tha wo waqt ab qarib aaya

Ghazal
Kisi ne dur se dekha koi qarib aaya
Ram Riyaz