اردو हिंदी
Kisi naghme mein hai wo aur na kisi saz mein hai | Shaahi Shayari
kisi naghme mein hai wo aur na kisi saz mein hai

Ghazal

Kisi naghme mein hai wo aur na kisi saz mein hai

Arsh Malsiyani

;

kisi naghme mein hai wo aur na kisi saz mein hai
ras-bhari narm si lai jo teri aawaz mein hai

gosh mushtaq ki KHud-saKHta tafriq hai ye
warna jo saz hai bahar hai wahi saz mein hai

le na Dube kahin KHush-fahmi-e-idrak tujhe
na-KHudai teri poshida isi raaz mein hai

aap hi zinda karen murda tamannaon ko
qum-be-izni ka asar aap ki aawaz mein hai

ham-safiron ki sadaon ka asar hai shayad
har giraftar-e-qafas koshish-e-parwaz mein hai

kyun karen ghair se hum arz niyaz-e-ulfat
jis ke talib hain abhi jalwa-gah-e-naz mein hai

'arsh' tak dekhiye pahunche ki na pahunche koi
aah ke sath dua bhi meri parwaz mein hai