kisi ko hum se hain chand shikwe kisi ko behad shikayaten hain
hamare hisse mein sirf apni safaiyan hain wazahaten hain
qadam qadam par badal rahe hain musafiron ki talab ke raste
hawaon jaisi mohabbaten hain sadaon jaisi rifaqaten hain
kisi ka maqruz main nahin par mere gareban pe hath sab ke
koi meri chahaton ka dushman kisi ko darkar chahaten hain
teri judai ke kitne suraj ufuq pe Dube magar abhi tak
KHalish hai sine mein pahle din si lahu main waisi hi wahshaten hain
meri mohabbat ke raaz-dan ne ye kah ke lauTa diya mera KHat
ki bhigi bhigi si aansuon mein tamam gunjalak ibaraten hain
main dusron ki KHushi ki KHatir ghubar ban kar bikhar gaya hun
magar kisi ne ye haq na mana ki meri bhi kuchh zaruraten hain
Ghazal
Kisi ko humse hain chand shikwe kisi ko behad shikayaten hain
Aitbar Sajid