kisi ki chah mein gham kya hai aur KHushi kya hai
tujhe KHabar nahin mafhum-e-ashiqi kya hai
tapish mein dhup ke hoti hai qadr sae ki
na ho jo maut ka KHatra to zindagi kya hai
nahin hai farq andhere mein aur ujale mein
nazar na aae jahan to wo raushni kya hai
hain yun to saikDon maKHluq bazm-e-hasti mein
nahin hai dil mein mohabbat to aadmi kya hai
rahe jo dil se lipaT kar wo gham hi behtar hai
jo chand lamhon ki mehman hai wo KHushi kya hai
hai aadmi to uThana hai bar hasti ka
hai aas jine ki honTon pe kapkapi kya hai
tere liye to jhukana bhi sar ibaadat hai
agar jhuka na sake dil to bandagi kya hai
tumhaare jalwa-e-aqdas ka ek partaw hai
ye najm aur ye zohra ye mushtari kya hai
wo dil-lagi hai agar gudgudi si aa jae
jala de dil ko jo 'asghar' wo dil-lagi kya hai
Ghazal
Kisi ki chah mein gham kya hai aur KHushi kya hai
Asghar Velori