اردو हिंदी
Kisi ke faiz-e-qurb se hayat ab sanwar gai | Shaahi Shayari
kisi ke faiz-e-qurb se hayat ab sanwar gai

Ghazal

Kisi ke faiz-e-qurb se hayat ab sanwar gai

Unwan Chishti

;

kisi ke faiz-e-qurb se hayat ab sanwar gai
nafas nafas mahak uTha nazar nazar nikhar gai

nigah-e-naz jab uThi ajib kaam kar gai
jo rang-e-ruKH uDa diya to dil mein rang bhar gai

meri samajh mein aa gaya har ek raaz-e-zindagi
jo dil pe choT paD gai to dur tak nazar gai

ab aas TuT kar mujhe sukun nasib ho gaya
jo sham-e-intizar thi wo sham to guzar gai

kali dil-e-tabah ki khili na 'chishti'-e-hazin
KHizan bhi aa ke ja chuki bahaar bhi guzar gai