kisi ka ek hai dushman to dost-dar hai ek
hamara hijr adu ek wasl yar hai ek
jahan mein shadi o gham se nahin hai dur koi
KHizan adu hai mera ek aur bahaar hai ek
KHushi nasib nahin hum ko ta-ba-hashr koi
hazar ranj hain ek aur ye dil-figar hai ek
bisan-e-marg-o-hayat ahl-e-dil ko aalam mein
hamesha ek hai dil jis pe gham sawar hai ek
mila hai husn-e-KHuda-dad jin ko aalam mein
fida jo ek hai un par to jaan-nisar hai ek
rah-e-wafa mein ye hai haal aashiqon ka mudam
KHarab ek hai shorida-sar to KHar hai ek
miloge hum se jo 'miskin' dui ko dur karo
shumar ek hai gar dam hai do pe tar hai ek

Ghazal
Kisi ka ek hai dushman to dost-dar hai ek
Miskeen Shah