kisi girdab ki phenki paDi hai
lab-e-sahil jo ek kashti paDi hai
haqiqat mein wahi sidhi paDi hai
mujhe ek chaal jo ulTi paDi hai
safar uljha diye hain us ne sare
mere pairon mein jo tezi paDi hai
wo hangama guzar jata udhar se
magar raste mein KHamoshi paDi hai
mere kanon ki zad par hain manazir
meri aankhon mein sargoshi paDi hai
hua hai qatl bedari ka jab se
ye basti raat din soi paDi hai
ye misra main adhura chhoDta hun
mere baste mein ek taKHti paDi hai
patang kaTne ka bais aur hai kuchh
agarche Dor bhi uljhi paDi hai
zara koyal ka pinjra khul gaya tha
abhi tak KHauf se sahmi paDi hai
mukammal ek duniya aur bhi hai
jo ek duniya ki an-dekhi paDi hai
baDi banjar thi ye kheti 'liyaqat'
magar kuchh roz se sinchi paDi hai
Ghazal
Kisi girdab ki phenki paDi hai
Liaqat Jafri