kisi bhi raushan KHayal se aashna nahin hai
jo aap apne jamal se aashna nahin hai
use KHayalon mein jaisa chahun tarash lunga
abhi nazar KHadd-o-KHal se aashna nahin hai
abhi to dawa hai us ko mushkil-pasandiyon ka
abhi wo kar-e-muhaal se aashna nahin hai
abhi to miTTi mahak uThi hai nami ko pa kar
abhi wo pani ki chaal se aashna nahin hai
mizaj hawi raha hamesha zaruraton par
faqir harf-e-sawal se aashna nahin hai
ghazal barae ghazal hai teri 'nadim' abhi tu
ghazal ke husn-o-jamal se aashna nahin hai

Ghazal
Kisi bhi raushan KHayal se aashna nahin hai
Nadeem Fazli