kisi bhi hadse se zindagi ke hum nahin Darte
kisi bhi haal mein hum hausla kuchh kam nahin karte
hum aane wale kal ke waste bechain rahte hain
jo kal guzra hai us kal ka kabhi matam nahin karte
hamari zat se taklif pahunche koi na-mumkin
koi nahaq agar ruThe to us ka gham nahin karte
jinhen malum hai ashkon ki qimat ai mere hamdam
kisi ke samne aankhon ko apni nam nahin karte
hai jin ke dil mein ummid-o-yaqin ki raushni baqi
charagh-e-arzu ki lau ko wo maddham nahin karte
jinhen maqsad mein apne kaamyabi ho nahin pati
wo jidd-o-jahd karte hain magar paiham nahin karte
tahammul apni fitrat mein hai shamil wo kabhi 'hassan'
mizaj apna zara si baat par barham nahin karte

Ghazal
Kisi bhi hadse se zindagi ke hum nahin Darte
Mohammad Hazim Hassan