اردو हिंदी
Kisi banjar taKHayyul par kisi be-ab rishte mein | Shaahi Shayari
kisi banjar taKHayyul par kisi be-ab rishte mein

Ghazal

Kisi banjar taKHayyul par kisi be-ab rishte mein

Shahnawaz Zaidi

;

kisi banjar taKHayyul par kisi be-ab rishte mein
zara Thahre to patthar ban gae ahbab raste mein

sarabon ki gali hai ya tere ganw ka kona hai
laga hai KHak par shishe ka ek talab raste mein

abhi kuchh der pahle panw ke niche na the baadal
abhi phaila gai hain teri aankhen KHwab raste mein

meri tayyariyan mere safar mein ho gain hail
kabhi tawiz bazu par kabhi mehrab raste mein

samundar apne markaz mein khincha hai meri aankhon ka
so ab mumkin nahin hai rokna sailab raste mein

main kafi der pahle jis ko ghar mein chhoD aaya tha
khaDa hai munh phulae ab wahi mahtab raste mein

safar aasan nahin hota kamar pe lad kar duniya
chale to rafta rafta rah gaya asbab raste mein

hum aise rah-rau the koi bhi manzil na ho jin ki
safine aarzu ke ho gae gharqab raste mein