kise apna banaen koi is qabil nahin milta
yahan patthar bahut milte hain lekin dil nahin milta
mohabbat ka sila isar ka hasil nahin milta
wo nazren bar-ha milti hain lekin dil nahin milta
tumhaara ruThna tamhid thi afsana-e-gham ki
zamana ho gaya hum se mizaj-e-dil nahin milta
jahan tak dekhta hun main jahan tak main ne samjha hai
koi tere siwa tarif ke qabil nahin milta
haram ki manzilen hon ya sanam-KHane ki rahen hon
KHuda milta nahin jab tak maqam-e-dil nahin milta
musafir apni manzil par pahunch kar chain pate hain
wo maujen sar paTakti hain jinhen sahil nahin milta
hum apna gham liye baiThe hain us bazm-e-tarab mein bhi
kisi naghme se ab 'maKHmur' saz-e-dil nahin milta
Ghazal
Kise apna banaen koi is qabil nahin milta
Makhmoor Dehlvi