kis tarah waqif hon haal-e-ashiq-e-jaan-baz se
un ko fursat hi nahin hai karobar-e-naz se
mere dard-e-dil se goya aashna hain chob-o-tar
apne nale sun raha hun parda-ha-e-saz se
zarra zarra hai yahan ek katba-e-sirr-alast
aap hi waqif nahin hain rasm-e-KHatt-e-raaz se
dil gae iman gae aqlen gain jaanen gain
tum ne kya kya kar dikhaya ek nigah-e-naz se
aah! kal tak wo nawazish! aaj itni be-ruKHi
kuchh to nisbat chahiye anjam ko aaghaz se
Ghazal
Kis tarah waqif hon haal-e-ashiq-e-jaan-baz se
Ghulam Bhik Nairang