kis shahr na shohra hua nadani-e-dil ka
kis par na khula raaz pareshani-e-dil ka
aao karen mahfil pe zar-e-zaKHm numayan
charcha hai bahut be-sar-o-samani-e-dil ka
dekh aaen chalo ku-e-nigaran ka KHaraba
shayad koi mahram mile virani-e-dil ka
puchho to udhar tir-fagan kaun hai yaro
saunpa tha jise kaam nigahbani-e-dil ka
dekho to kidhar aaj ruKH-e-baad-e-saba hai
kis rah se payam aaya hai zindani-e-dil ka
utre the kabhi 'faiz' wo aaina-e-dil mein
aalam hai wahi aaj bhi hairani-e-dil ka
Ghazal
Kis shahr na shohra hua nadani-e-dil ka
Faiz Ahmad Faiz