kis samt le gain mujhe is dil ki dhaDkanen
pichhe pukarti rahin manzil ki dhaDkanen
go tere iltifat ke qabil nahin magar
milti hain tere dil se mere dil ki dhaDkanen
maKHmur kar gaya mujhe tera KHiram-e-naz
naghme jaga gain teri payal ki dhaDkanen
lahron ki dhaDkanen bhi na un ko jaga sakin
kis darja be-niyaz hain sahil ki dhaDkanen
wahshat mein DhunDta hi raha qais umr bhar
gum ho gain bagulon mein mahmil ki dhaDkanen
lahra raha hai teri nigahon mein ek payam
kuchh kah rahi hain saf tere dil ki dhaDkanen
ye kaun chupke chupke uTha aur chal diya
'KHatir' ye kis ne luT lin mahfil ki dhaDkanen
Ghazal
Kis samt le gain mujhe is dil ki dhaDkanen
Khatir Ghaznavi