kis raqs-e-jaan-o-tan mein mera dil nahin raha
go main kisi julus mein shamil nahin raha
har chand teri ruh ka mahram raha hun main
lekin tere badan se bhi ghafil nahin raha
tujh se koi gila hai na teri wafa se hai
main hi tere KHayal ke qabil nahin raha
bahar chahak rahi ho ki andar mahak rahi
dil ab kisi bahaar ka qail nahin raha
yaro safina-e-gham-e-dil ka banega kya
lagta hai ab kahin koi sahil nahin raha
Ghazal
Kis raqs-e-jaan-o-tan mein mera dil nahin raha
Ahmad Mushtaq