kis naz se wah hum ko mara
ki tirchhi nigah hum ko mara
sau pech mein la ke aaKHir-e-kar
ai zulf-e-siyah hum ko mara
KHwahinda tere the ai pari hum
kyun KHwah-na-KHwah hum ko mara
kabe ko jo hum chale buton ne
kah kar gumrah hum ko mara
shikwa hamein kuchh nahin falak se
tu ne ai mah hum ko mara
chah-e-zaqan-e-sanam dikha kar
tu ne ai chah hum ko mara
aise hain zaif mar gae hum
jis ne par-e-kah hum ko mara
us ki zulf-e-daraaz ne shab
qissa-e-kotah hum ko mara
shamshir-e-nigah se us ne be-maut
KHaliq hai gawah hum ko mara
bose ki talab mein us ne 'goya'
na-karda-gunah hum ko mara
Ghazal
Kis naz se wah hum ko mara
Goya Faqir Mohammad