اردو हिंदी
Kis ko ham-safar samjhen jo bhi sath chalte hain | Shaahi Shayari
kis ko ham-safar samjhen jo bhi sath chalte hain

Ghazal

Kis ko ham-safar samjhen jo bhi sath chalte hain

Indr Mohan Mehta Kaif

;

kis ko ham-safar samjhen jo bhi sath chalte hain
aashna se lagte hain ajnabi nikalte hain

ai meri sharik-e-gham kash tu samajh sakti
kitne an-bahe aansu qahqahon mein Dhalte hain

raat ki KHamoshi mein jab koi nahin hota
dil se biti yaadon ke qafile nikalte hain

tah-ba-tah andheron tak raushni to phailegi
ek raat ki zid mein sau charagh chalte hain

manzilon ke dhoke mein sathiyo na ruk jaana
manzilon se aage bhi raste nikalte hain