kis KHwab ka asar hai jo ab tak nazar mein hai
manzil ki ek shabih ghubar-e-safar mein hai
samjho ki ek partaw-e-manzar nahin tamam
hai tirgi wo raaz jo tab-e-gohr mein hai
dariya ki wusaton se jo KHaif rahe wo log
samjhe nahin ki ek kinara bhanwar mein hai
hum manzil-e-yaqin pe na Thahre ye jaan kar
KHalq-e-KHuda ke sath KHuda bhi safar mein hai
raqsan meri talab mein hai raqqas-e-kaenat
meri talash hai jo dil-e-rah-guzar mein hai
hairat wufur-e-shauq mein takmil ki taraf
ek aks aainon se gurezan safar mein hai

Ghazal
Kis KHwab ka asar hai jo ab tak nazar mein hai
Muzaffar Mumtaz