kis jhuTpuTe ke rang ujalon mein aa gae
TukDe shafaq ke dhup se galon mein aa gae
afsurdagi ki lai bhi tere qahqahon mein thi
patjhaD ke sur bahaar ke jhaalon mein aa gae
uD kar kahan kahan se parindon ke qafile
nadida paniyon ke KHayalon mein aa gae
husn-e-tamam the to koi dekhta na tha
tum dard ban ke dekhne walon mein aa gae
kanTe samajh ke ghas pe chalta raha hun main
qatre tamam os ke chhaalon mein aa gae
kuchh rat-jage the jin ki zarurat nahin rahi
kuchh KHwab the jo mere KHayalon mein aa gae
Ghazal
Kis jhuTpuTe ke rang ujalon mein aa gae
Ahmad Mushtaq