اردو हिंदी
Kis ehtiyat se sapne sajaane paDte hain | Shaahi Shayari
kis ehtiyat se sapne sajaane paDte hain

Ghazal

Kis ehtiyat se sapne sajaane paDte hain

Moin Shadab

;

kis ehtiyat se sapne sajaane paDte hain
ye sang-reze palak se uThane paDte hain

bahut se dard to hum banT bhi nahin sakte
bahut se bojh akele uThane paDte hain

ye baat us se pata kar jo ishq jaanta ho
palon ki rah mein kitne zamane paDte hain

har ek peD ka saya nahin mila karta
bila gharaz bhi to paude lagane paDte hain

kisi ko dil se bhulane mein der lagti hai
ye kapDe kamre ke andar sukhane paDte hain

kahan se laoge tum is qadar jabin-e-niyaz
qadam qadam pe yahan aastane paDte hain