kis din ba-rang-e-zaKHm naya gul khila nahin
kis shab ba-faiz-e-ashk charaghan hua nahin
ek sahm hai ki har kahin rahta hai sath sath
ek wahm hai ki aaj bhi dil se gaya nahin
ai dost rah-e-zist mein chal ehtiyat se
girte hue ko koi yahan thamta nahin
go zehn se shabih teri mahw ho gai
lekin tere KHayal ka suraj bujha nahin
man ka tamam zauq-e-safar ghaT ke rah gaya
tan ke samundaron mein kahin rasta nahin
'aali' warud-e-sher mein waqfa baja magar
ab ke to ek umr hui kuchh kaha nahin
Ghazal
Kis din ba-rang-e-zaKHm naya gul khila nahin
Jaleel u0027Aaliu0027