kis darja mere shahar ki dilkash hai faza bhi
manus har ek chiz hai miTTi bhi hawa bhi
dekho to har ek rang se milta hai mera rang
socho to har ek baat hai auron se juda bhi
yun to mere haalat se waqif hai zamana
lekin mujhe milta nahin kuchh apna pata bhi
sae ki tarah sath raha karta hai ek shaKHs
saya ki hua karta hai apnon se juda bhi
phir zaKHm-e-tamanna ke nae phul khile hain
KHushbu teri le aai hai phir mauj-e-saba bhi
har aan badalti hui duniya hai ye 'nadir'
yan dil ke lagane ki nahin hai koi ja bhi
Ghazal
Kis darja mere shahar ki dilkash hai faza bhi
Athar Nadir