kiran mein phir se badalne laga KHayal us ka
utar raha hai nae chand par jamal us ka
gaya hai shaKH se wo is liye ki shaKH rahe
hua to bij ki surat hua zawal us ka
jiyunga main bhi hamesha ki jawedan hai wo
main ji raha hun ki ye sal bhi hai sal us ka
wo le gaya hai meri aankh apni basti mein
ki mere sath rahe rabta bahaal us ka
main sirf pani ki chhagal sahi magar 'bedar'
hua gulab mere dam se baal baal us ka
Ghazal
Kiran mein phir se badalne laga KHayal us ka
Bedar Sarmadi