kiran kiran ye kisi dida-e-hasad mein hai
har ek charagh hamara dhuen ki zad mein hai
jise nikala hai hindson se zaicha-gar ne
baqa hamari usi panch ke adad mein hai
har ek shaKHs ki qamat ko nap aur bata
mere alawa yahan kaun apne qad mein hai
gharon ke sahn kuchh aise sikuD simaT gae hain
har ek shaKHs makin jis tarah lahad mein hai
lage hain shaKHon pe jis din se phul-pat nae
har ek peD haweli ka chashm-e-bad mein hai
'nabil' aise adhure hain roz-o-shab jaise
mera azal kisi andesha-e-abad mein hai

Ghazal
Kiran kiran ye kisi dida-e-hasad mein hai
Nabeel Ahmad Nabeel