اردو हिंदी
KHwahish-o-KHwab ke aage bhi kahin jaana hai | Shaahi Shayari
KHwahish-o-KHwab ke aage bhi kahin jaana hai

Ghazal

KHwahish-o-KHwab ke aage bhi kahin jaana hai

Azim Haidar Syed

;

KHwahish-o-KHwab ke aage bhi kahin jaana hai
ishq ke bab se aage bhi kahin jaana hai

kyun nahin chhoDti aaKHir mujhe duniya-dari
mal-o-asbab se aage bhi kahin jaana hai

dene wale tu mujhe nind na de KHwab to de
mujh ko mahtab se aage bhi kahin jaana hai

jaane kyun rok rahi hai mujhe ashkon ki qatar
chashm-e-pur-ab se aage bhi kahin jaana hai

kyun lipaTta hai mere sath ye dariya aaKHir
mujh ko girdab se aage bhi kahin jaana hai